Sabir Zafar

apni yakjai mein bhi KHud se juda rahta hun

Sabir Zafar

1949
apnī yakjā.ī meñ bhī ḳhud se judā rahtā huuñ
ghar meñ bikhrī huī chīzoñ kī tarah rahtā huuñ
sub.h kī sair kī kartā huuñ tamannā shab bhar
din nikaltā hai to bistar meñ paḌā rahtā huuñ
diin o duniyā se nahīñ hai koī jhagḌā merā
yaanī maiñ in se alag apnī jagah rahtā huuñ
ḳhvāhish-e-dād nahīñ aur koī fariyād nahīñ
ek sahrā hai jahāñ naġhma-sarā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com