dekhnā ho gar use hastī miTā kar dekh lo
hai nazar ke sāmne ḳhud ko chhupā kar dekh lo
shīsha-e-dil ko hamāre ik nigah se dekh lo
phir usī andāz se teġh aazmā kar dekh lo
gor-e-majanūñ pe jo laila ne kahā kyā haal hai
qabr se aa.ī sadā parda uThā kar dekh lo
maiñ koī muusā nahīñ jo dekh kar aa jaave ġhash
gar nahīñ bāvar mujhe jalva dikhā kar dekh lo
lab shikāyat ko kahīñ hil jāveñ to phir zabt kyā
ek kyā sau baar bande ko satā kar dekh lo
kyā kahūñ kyā haal hai dil kā tumhāre hijr meñ
bas ke ḳhud āñkhoñ meñ aur dil meñ samā kar dekh lo
umr-bhar gulzār-e-hastī kī na hogī aarzū
bulbul-e-dil ko mire qaidī banā kar dekh lo
jalva-e-husn-e-do-ālam hai usī darbār meñ
sañg-e-dar par un ke bas sar ko jhukā kar dekh lo
āshiyāna faqr kā har barg har Tahnī pe hai
jitne dil chāheñ jalāne hoñ jalā kar dekh lo
mere ā.īne meñ ḳhud-bīnī ke sāmāñ hī nahīñ
aks-e-jānāñ se bharā rahtā hai aa kar dekh lo
ġham nahīñ bijlī gire jal jaa.e dil ho jaa.e ḳhaak
arz ik 'bismil' kī hai ki muskurā kar dekh lo