maiñ ne rāhat kā Thikāna ab talak paayā nahīñ
dhuup kī bārish hai lekin duur tak saaya nahīñ
pī liyā jām-e-shahādat saare ahl-e-bait ne
par yazīdī lashkaroñ ko rahm tak aayā nahīñ
faqr bhī dekheñ zarā ḳhātūn-e-jannat kā janāb
apne kāmoñ ke liye rakkhā koī daaya nahīñ
vo bhaTakte haiñ jahālat ke añdheroñ meñ yahāñ
paas jin ke ilm kā thoḌā bhī sarmāya nahīñ
apne rab se ho mohabbat ye bhī kahtī hai hadīs
aap ne is baat par to ġhaur farmāyā nahīñ
apne sab a.amāl kā mahshar meñ duniyā hai javāb
ham ne rahbar aaj tak is baat ko sochā nahīñ