zard mausam kī havāoñ meñ khaḌā huuñ maiñ bhī
aur is soch meñ gum huuñ ki harā huuñ maiñ bhī
sun ke har shaḳhs kuchh is tarah guzar jaatā hai
jaise girte hue pattoñ kī sadā huuñ maiñ bhī
merī āvāz-e-shikasta kī satā.ish na karo
apnī āvāz kī lahroñ meñ chhupā huuñ maiñ bhī
tujh ko taḳhlīq kiyā maiñ ne ki mujh ko tū ne
kaun ḳhāliq hai yahī soch rahā huuñ maiñ bhī
vo jo tūfān-e-ḳhudī le ke baḌā hai 'ābid'
us ko mālūm nahīñ koh-e-anā huuñ maiñ bhī