ālam-e-ḳhvāb sahī ḳhvāb meñ chalte rahiye
raat kaT jā.egī karvaT to badalte rahiye
kis ko mālūm kahāñ se koī patthar aa jaa.e
hausla ho to añdheroñ meñ nikalte rahiye
ban hī jā.egā kabhī koī ḳhudī kā paikar
apne ehsās kī garmī se pighalte rahiye
zindagī silsila-e-ḳhvāb-e-tamannā hai koī
raat bhar ḳhvāb ko ḳhvāboñ se badalte rahiye
ham pe kyā hogā zamāne kī havāoñ kā asar
aap mausam kī tarah roz badalte rahiye
zindagī kyā hai sarāboñ kā safar hai 'ābid'
vaqt kī ret pe din raat machalte rahiye