ḳhatā-e-ishq ye taslīm hai ki ham se huī
ye jur.at ham ko magar aap ke karam se huī
jahān-e-ishq meñ ahl-e-junūñ bhī kam to na the
huī shanāḳht is aqlīm kī to ham se huī
qatīl-e-ishq kiyā phir gale lagā.e rahā
ki ibtidā-e-mohabbat bhī ik sitam se huī
mujhe to jānñe vaale bhī kam hī jānte haiñ
mirī shanāḳht sar-e-mulk fan qalam se huī
jo bahr-e-ishq meñ ġharqāb ho ga.e un kī
ḳhabar huī hai to lahroñ ke zer-o-bam se huī
diloñ meñ ishq kī sham.oñ kī raushnī do-chand
agar huī hai ayaañ aap hī ke dam se huī