Waheed Allahabadi

naKHwat-e-husn pasand aai hai diwane ko

Waheed Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1829-1892
naḳhvat-e-husn pasand aa.ī hai dīvāne ko
sar-kashī sham.a kī manzūr hai parvāne ko
dekhiye kaun sī jā yaar kā miltā hai pata
koī ka.abe ko chalā hai koī but-ḳhāne ko
terī furqat meñ tasavvur hai ye bedardī kā
ḳhvāb ham jānte haiñ niiñd ke aa jaane ko
kaam aa jaatī hai ham-bazmī bhī raushan dil kī
sham.a ham-rañg banā letī hai parvāne ko
gul pe bulbul thā kahīñ sham.a pe parvāna thā
ham ne har rañg meñ dekhā tire dīvāne ko
vā-shud-e-dil na huī ġhuncha-e-ḳhātir na khilā
kaun se baaġh meñ aa.e the havā khāne ko
maiñ ne jab vādī-e-ġhurbat meñ qadam rakkhā thā
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko
Top Urdushayar.com