Waheed Allahabadi

aaiye jalwa-e-didar ke dikhlane ko

Waheed Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1829-1892
aa.iye jalva-e-dīdār ke dikhlāne ko
phūñk de barq-e-tajallī mire kāshāne ko
dekhiye kaun sī jā yaar kā miltā hai pata
koī ka.abe ko chalā hai koī but-ḳhāne ko
terī furqat meñ tasavvur hai ye bedardī kā
ḳhvāb ham jānte haiñ niiñd ke aa jaane ko
ba.ad mere jo huā dasht meñ majnūñ kā guzar
ro diyā dekh ke ḳhālī mire vīrāne ko
kaam aa jaatī hai ham-bazmī bhī raushan dil kī
sham.a ham-rañg banā letī hai parvāne ko
aaj phir shahr ke kūche nazar aate haiñ udaas
kis taraf le ga.ī vahshat tire dīvāne ko
ai junūñ tañg huī vus.at-e-sahrā tujh se
ab kahāñ jaa.e tabī.at koī bahlāne ko
gul pe bulbul thā kahīñ sham.a pe parvāna thā
ham ne har rañg meñ dekhā tire parvāne ko
vā-shud-e-dil na huī ġhuncha-e-ḳhātir na khilā
kaun se baaġh meñ aa.e the havā khāne ko
maiñ ne jab vādī-e-ġhurbat meñ qadam rakkhā thā
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko
Top Urdushayar.com