Sayyad Ashoor Kazmi

gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

Sayyad Ashoor Kazmi

Faridpur, Uttar pradesh, India

1932-2010
ġham sahe rusvā hue jazbāt kī tahqīr kī
ham ne chāhā aap ko ham ne baḌī taqsīr kī
rauzan-e-zindāñ se dar aa.ī hai sūraj kī kiran
ban ga.ī nāqūs-e-āzādī sadā zanjīr kī
ḳhuun ke chhīñTe paḌe haiñ shaiḳh kī dastār par
shahr kī galiyoñ se aa.ī hai sadā takbīr kī
zaat ke andar talātum zaat ke bāhar sukūt
maslahat-koshī ne kaisī shaḳhsiyyat ta.amīr kī
ghar ke darbānoñ ne saare ghar pe qabza kar liyā
ham ne āñkheñ kholne meñ kis qadar tāḳhīr kī
rāsta DhūñDo ki manzil zaat meñ mahsūr hai
band darvāzoñ ke bāhar hai kiran tanvīr kī
Top Urdushayar.com