Sayyad Ashoor Kazmi

maal-e-ishq-o-mohabbat se aashna to nahin

Sayyad Ashoor Kazmi

Faridpur, Uttar pradesh, India

1932-2010
ma.āl-e-ishq-o-mohabbat se āshnā to nahīñ
kahīñ ye ġham bhī tirī tarah bevafā to nahīñ
safīne vaalo chalo aaj dil kī baat kaheñ
uTho ḳhudā ke liye nāḳhudā ḳhudā to nahīñ
ye aur baat hai māhaul sāzgār na ho
shikasta barbat-e-ehsās be-sadā to nahīñ
bajā ki merī tabāhī meñ un kā haath nahīñ
magar ye gardish-e-daurāñ kā hausla to nahīñ
jumūd-e-sehn-e-chaman inqalāb-e-nau kī dalīl
shu.ūr-e-ġhairat-e-ahl-e-chaman marā to nahīñ
sar-e-niyāz jhukā hai ze-rāh-e-zauq-e-sujūd
tire karam kī qasam koī mudda.ā to nahīñ
Top Urdushayar.com