kuchh nahīñ hotā shab bhar sochoñ kā sarmāyā hotā hai
ham ne sehn ke ik kone meñ diyā jalāyā hotā hai
shām-e-tarab ke lamho is ko mat āvāzeñ diyā karo
raat ne apne sar par ġham kā bojh uThāyā hotā hai
jalte haiñ to peḌ hī jalte haiñ sūraj kī hiddat se
phūloñ par to pattoñ kī ThanDak kā saayā hotā hai
maiñ ne aaj talak na dekhā pau phaTne kā manzar tak
jab bhī so kar uThtā huuñ to bādal chhāyā hotā hai
kis ne kahā hai dīvāroñ par saaya kartā hai sūraj
dīvāroñ par dīvāroñ kā apnā saayā hotā hai
un logoñ se pūchhe koī sher kā rutba aur shu.ūr
jin logoñ ne ġhazal ko apnā ḳhuun pilāyā hotā hai
shahr ke log bhī shahr ke hañgāmoñ meñ gum hote hī 'adīm'
bastī vāloñ ne bhī koī rog lagāyā hotā hai