Waqar Manvi

main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
maiñ jis ko bhuul jaane kā irāda kar rahā huuñ
usī ko yaad pahle se ziyāda kar rahā huuñ
hai ye bhī dūsroñ ko pyaas kā ehsās shāyad
suhānī rut hai aur maiñ tark-e-bāda kar rahā huuñ
mubārak ho jo tū manzil-ba-manzil baḌh rahā hai
to maiñ bhī yaad tujh ko jaada jaada kar rahā huuñ
nahīñ minnat-kash-e-ehsāñ kisī kā rahguzar meñ
maiñ tanhā huuñ safar bhī pā-piyāda kar rahā huuñ
sahā jaatā nahīñ ab ranj-e-mahrūmī-e-manzil
safar hī tark kar duuñ ye irāda kar rahā huuñ
ulajhtā huuñ masāfat kī tavālat se maiñ jitnā
masāfat ko maiñ utnā hī ziyāda kar rahā huuñ
maiñ insāñ huuñ ye mere irtiqā kī hai alāmat
ki maiñ insāniyat ko be-labāda kar rahā huuñ
samātā hī nahīñ koī mirī nāqis nazar meñ
maiñ apnī zaat hī se istifāda kar rahā huuñ
safar bhī ho mayassar vo bhī din qismat dikhā.e
maiñ barsoñ se irāda hī irāda kar rahā huuñ
tire qaul-o-qasam jin ko ki tū bhūlā huā hai
tirī jānib se maiñ un kā i.aada kar rahā huuñ
'vaqār' ajdād kī tārīḳh paḌh luuñ az-sar-e-nau
murattab hī jab apnā ḳhānvāda kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com