Waqar Manvi

KHushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
ḳhushī dāman-kashāñ hai dil asīr-e-ġham hai barsoñ se
hamārī zindagī kā ek hī aalam hai barsoñ se
sitam hai āñsuoñ kā poñchhne vaalā nahīñ koī
hamārī aañkh bhī tar āstīñ bhī nam hai barsoñ se
vazāhat chāhtā huuñ tujh se tere is ishāre kī
jo paiham merī jānib hai magar mub.ham hai barsoñ se
rahe ham saath bhī barsoñ tire kahlā.e bhī lekin
tujhe apnā na paa.e ye ḳhalish ye ġham hai barsoñ se
kisī se mudda.ā-e-dil kahā ho to zabāñ kaT jaa.e
bas ik tū hai jo dil ke raaz kā mahram hai barsoñ se
hamārī zindagī kahne kī had tak zindagī hai bas
ye shīrāza bhī dekhā jaa.e to barham hai barsoñ se
ḳhushī hai ai 'vaqār' ab aur na armān-e-ḳhushī baaqī
agar kuchh hai to bas āsūdgi-e-ġham hai barsoñ se
Top Urdushayar.com