Waqar Manvi

jaan nahin pahchan nahin hai

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
jaan nahīñ pahchān nahīñ hai
phir bhī to vo anjān nahīñ hai
har ġham sahnā aur ḳhush rahnā
mushkil hai āsān nahīñ hai
dil meñ jo mar jaa.e vo hai armāñ
jo nikle armān nahīñ hai
mujh ko ḳhushī ye hai ki ḳhushī kā
mujh pe koī ehsān nahīñ hai
ab na dikhānā tābish-e-jalva
ab āñkhoñ meñ jaan nahīñ hai
sab kuchh hai is daur-e-havas meñ
dil kā itmīnān nahīñ hai
ab ke 'vaqār' aise bichhḌe haiñ
milne kā imkān nahīñ hai
Top Urdushayar.com