Waqar Manvi

mere wajud ko pamal karna chahta hai

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
mire vajūd ko pāmāl karnā chāhtā hai
jo hādsa hai mujhī par guzarnā chāhtā hai
vo jumbish apne laboñ ko na de ye baat alag
adā adā se magar baat karnā chāhtā hai
kamāñ se chāhe na nikle kisī kā tīr-e-nazar
magar ye lagtā hai dil meñ utarnā chāhtā hai
gumāñ ye hotā hai tasvīr dekh kar terī
ki aks se tirā paikar ubharnā chāhtā hai
ḳhushā ye zaḳhm zahe lazzat-e-namak-pāshī
kured letā huuñ jab zaḳhm bharnā chāhtā hai
ġharīb ko havas-e-zindagī nahīñ hotī
bas itnā hai ki vo izzat se marnā chāhtā hai
maiñ zindagī ko liye phir rahā huuñ kab se 'vaqār'
ye bojh ab mire sar se utarnā chāhtā hai
Top Urdushayar.com