Waqar Manvi

agar rona hi ab mera muqaddar hai mohabbat mein

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
agar ronā hī ab merā muqaddar hai mohabbat meñ
to dāman bhī tumhārā ho mire ashkoñ kī qismat meñ
savālī ho ke maiñ ne tere dar ko baḳhsh dī izzat
nahīñ to kyā nahīñ hai mere dāmān-e-mohabbat meñ
pa.e-baḳhshish abhī dariyā-e-rahmat josh meñ aa.e
kam-az-kam ye asar to hai mire ashk-e-nadāmat meñ
pahuñch kar un ke sañg-e-āstāñ par bhī nahīñ miTtī
vo mahrūmi-e-sajda jo likhī hotī hai qismat meñ
atā ko dekh apnī zarf-e-dil kā zikr kyā saaqī
ki dariyā bhī samā hai zarf-e-dil kī vus.at meñ
vo aalam yaad hai jab dil khiñchā jaatā thā pahlū se
kashish pahlī sī kyā baaqī nahīñ lafz-e-mohabbat meñ
vaqār' ai kaash merī umr meñ shāmil na kī jaa.e
vo muddat haañ vahī muddat jo guzrī un kī furqat meñ
Top Urdushayar.com