Waqar Manvi

meri wafa mera isar chhin le mujhse

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
mirī vafā mirā īsār chhīn le mujh se
hai kaun jo mirā kirdār chhīn le mujh se
ye zindagī koī sau baar chhīn le mujh se
magar nahīñ ki tirā pyaar chhīn le mujh se
ye vaqt vo hai ki qadmoñ meñ baiThne vaalā
ye chāhtā hai ki dastār chhīn le mujh se
atā ho yā to vahī dabdaba vahī jazba
nahīñ to ye mirī lalkār chhīn le mujh se
savāl kartī hai umr-e-ravāñ ki hai koī
jo merī tezī-e-raftār chhīn le mujh se
maiñ zer-e-sāya-e-dīvār bhī huuñ ḳhauf-zada
ki vo na sāya-e-dīvār chhīn le mujh se
mirā harīf kam-auqāt chāhtā hai 'vaqār'
mirā asāsa-e-afkār chhīn le mujh se
Top Urdushayar.com