nazar meñ koī manzil hai na jaada chāhtā huuñ
safar chāhe koī ho be-irāda chāhtā huuñ
ḳhushī kā kyā ḳhushī meñ chāhe kuchh taḳhfīf kar do
matā-e-ġham ziyāda se ziyāda chāhtā huuñ
mirā mafhūm āsānī se khul jaa.e jahāñ par
maiñ apnā lahja-e-izhār saada chāhtā huuñ
mirī nazroñ ko vus.at do-jahāñ kī dene vaale
maiñ dāmān-e-taḳhayyul bhī kushāda chāhtā huuñ
qayādat mujh pe nāzāñ thī kabhī manzil-ba-manzil
aur ab ḳhud hī qayādat jaada jaada chāhtā huuñ
bahut talḳhī bhare hālāt meñ jiinā paḌā hai
isī talḳhī kī ḳhātir talḳh baada chāhtā huuñ
maiñ ḳhud pahuñchūñ ki mere qadmoñ meñ chalī aa.ī
ba-har-sūrat maiñ takmīl-e-irāda chāhtā huuñ
musalsal chāhiye kī baat hai aur barmalā hai
savāl is kā nahīñ kam yā ziyāda chāhtā huuñ
jahān-e-tañg kī tañgī se merā kyā ilāqa
vasī-ul-qalb huuñ duniyā kushāda chāhtā huuñ
tire dāman-kashāñ rahne kā matlab kyā hai mujh se
yahī to hai ki maiñ tujh ko ziyāda chāhtā huuñ
alag tashkīl denā chāhtā huuñ apnī manzil
'vaqār' apne liye maḳhsūs jaada chāhtā huuñ