Waqar Manvi

mere suKHan ko wo eajaz de KHuda-e-suKHan

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
mire suḳhan ko vo e.ajāz de ḳhudā-e-suḳhan
ki harf harf bane ganj-e-be-bahāe-suḳhan
sukūt toḌe kabhī tū bhī dil kī baat kahe
ḳhudā kare kabhī tere bhī lab pe aa.e suḳhan
ġhazab ḳhudā kā kaḌī dhuup kā tavīl safar
aur us safar kā asāsa bas ik ridā-e-suḳhan
hadīs-e-ġham kā bayāñ hai baġhair-e-jumbish-e-lab
hai ḳhāmushī bhī mirī ain mudda.ā-e-suḳhan
badan se lipTī rahī taar taar ho kar bhī
hameñ aziiz bhalā kyuuñ na ho qabā-e-suḳhan
hikāyat-e-ġham-e-dil kah ke siine paḌ ga.e lab
hameñ ye chup bhī lagī hai to bar-binā-e-suḳhan
nibhe to kaise nibhe ab ye sochnā hai 'vaqār'
ki vo suḳhan se gurezāñ hai maiñ fidā-e-suḳhan
Top Urdushayar.com