Waqar Manvi

hum tum ki roz-o-shab mile sham-o-sahar mile

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
ham tum ki roz-o-shab mile shām-o-sahar mile
lekin na dil na zāviya-hā-e-nazar mile
chhalnī haiñ paañv kāñToñ-bharī rahguzar mile
ham ko hamārī shaan ke shāyāñ safar mile
maiñ bhī kuchh apne karb kā iz.hār kar sakūñ
mujh ko bhī kuchh salīqa-e-arz-e-hunar mile
be-māñge paa.eñ buuñd bhī pyāse to jī uTheñ
dariyā bhī le ke ḳhush na hoñ māñge se gar mile
ham bijliyoñ kī zad meñ musalsal raheñ to kyuuñ
ye kyā ki bijliyoñ ko hamārā hī ghar mile
gulshan shaguftagī se ibārat na ho sakā
ġhunche khile khile se to har shāḳh par mile
paimāñ to ye thā mil ke na bichhḌeñge umr-bhar
bichhḌe to is tarah ki na phir umr-bhar mile
tāsīr ke baġhair duā kā bhī kyā mazā
lutf-e-duā ye hai ki ki duā ko asar mile
khul kar tum un se bhī na mile jin se qurb thā
aur ham ki jis kisī se mile TuuT kar mile
Dar hai kahīñ natīja rihā.ī kā ye na ho
zindāñ ke ham raheñ na hameñ apnā ghar mile
kis dil se ārzū-e-ḳhushī kījiye ki ab
his tak ḳhushī kī miT ga.ī ġham is qadar mile
ye zindagī vo taptā huā regzār hai
jis meñ kahīñ na saaya na shāḳh-e-shajar mile
vo hādse jo vaj.h-e-tabāhī bane 'vaqār'
un meñ se kuchh to ghar kī hī dahlīz par mile
Top Urdushayar.com