ḳhushī kī aarzū ko pā ke mahrūm-e-ḳhushī maiñ ne
ḳhushī kī aarzū dil meñ kabhī palne na dī maiñ ne
vatan kī sar-zamīñ jis par luTā dī zindagī maiñ ne
vahīñ apne liye paa.ī mohabbat kī kamī maiñ ne
jo merī jaan ke dushman the un par jaan dī maiñ ne
sikhā.ī yuuñ bhī apne dushmanoñ ko dostī maiñ ne
siyāsat se fasādoñ kā banā maskan vatan merā
jahāñ sadiyoñ diyā paiġhām-e-sulh-o-āshtī maiñ ne
gul-afshāñ jo zamīñ thī vo zamīñ ab aag ugaltī hai
ajab ta.abīr dekhī hurriyat ke ḳhvāb kī maiñ ne
sahar kaisī sahar kā zikr bhī ik jurm Thahrā hai
añdherī raat kā dekhā hai ye andher bhī maiñ ne
vahāñ mujh ko mohazzab bhī na maanā jaa.e hairat se
jahāñ tahzīb kī buniyād rakkhī thī kabhī maiñ ne
ye taufīq apnī apnī apnā apnā zarf hai pyāre
musalsal tū ne kī bedād paiham daad dī maiñ ne
shikasta-pā.ī se maiñ apnī pīchhe rah gayā be-shak
magar tezī-e-raftār-e-jahāñ to jaan lī maiñ ne
ye ab tujh par hai to qadmoñ meñ rahne de ki Thukrā de
tire qadmoñ meñ rakh dī apne dil kī har ḳhushī maiñ ne
yaqīnan vaj.h-e-baḳhshish nāz-e-umr-e-bandagī hotā
kiyā hotā agar shāyān-e-dar ik sajda bhī maiñ ne
yahī kuchh kam nahīñ kam āgahī ke is zamāne meñ
jahān-e-sher ko baḳhshā 'vaqār'-e-āgahī maiñ ne