Waqar Manvi

jo dost tha wahi dushman hai kya kiya jae

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
jo dost thā vahī dushman hai kyā kiyā jaa.e
ajab ḳhalish ajab uljhan hai kyā kiyā jaa.e
basā huā hai jo ḳhushbū kī tarah sāñsoñ meñ
usī se ab mirī an-ban hai kyā kiyā jaa.e
yagāngat kā vo jazba idhar rahā na udhar
duā-salām bhī rasman hai kyā kiyā jaa.e
bahār meñ bhī mayassar gul-e-murād nahīñ
ye nā-murādī-e-dāman hai kyā kiyā jaa.e
fazā-e-sahn-e-chaman sho.ala-bār hai lekin
yahīñ hamārā nasheman hai kyā kiyā jaa.e
mujhe miTā ke rahegī ye raat hijr kī raat
azal se ye mirī dushman hai kyā kiyā jaa.e
chhupā.ūñ kaise 'vaqār' apne dil ke dāġhoñ ko
jo daaġh hai vahī raushan hai kyā kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com