Waqar Manvi

gai hai sham abhi zaKHm zaKHm kar ke mujhe

Waqar Manvi

Delhi, India

1939
ga.ī hai shaam abhī zaḳhm zaḳhm kar ke mujhe
ab aur ḳhvāb nahīñ dekhne sahar ke mujhe
huuñ mutma.in ki huuñ āsūda-e-ġham-e-jānāñ
majāl kyā ki ḳhushī dekhe aañkh bhar ke mujhe
kahāñ milegī bhalā is sitamgarī kī misāl
taras bhī khātā hai mujh par tabāh kar ke mujhe
maiñ rah na jā.ūñ kahīñ terā ā.īna ban kar
ye dekhnā nahīñ achchhā sañvar sañvar ke mujhe
in āñsuoñ se bhalā merā kyā bhalā hogā
vo mere ba.ad jo royā bhī yaad kar ke mujhe
khulā bhī ab dar-e-zindāñ to jā.ūñgā maiñ kahāñ
ki rāste hī nahīñ yaad apne ghar ke mujhe
hunar-varī faqat ezāz-baḳhsh kab hai 'vaqār'
chukāne paḌte haiñ kuchh qarz bhī hunar ke mujhe
Top Urdushayar.com