bajā ki naqsh-e-kaf-e-pā pe sar bhī rakhnā hai
magar buland maqām-e-nazar bhī rakhnā hai
saḳhāvat aisī dikhā.ī ki ghar luTā baiThe
na sochā ye bhī ki kuchh apne ghar bhī rakhnā hai
hoñ zaḳhm zaḳhm kahāñ tak maiñ chāragar se kahūñ
idhar bhī rakhnā hai marham udhar bhī rakhnā hai
ye jabr dekho ki rahnā bhī hai sar-e-maqtal
har ek vaar bhī sahnā hai sar bhī rakhnā hai
rah-e-hayāt meñ thaknā bhī hai yaqīnī sā
phir apne aap ko vaqf-e-safar bhī rakhnā hai
ilāhī ḳhair ki tūfān-e-bād-o-bārāñ meñ
hameñ bachānā hai ḳhud ko bhī ghar meñ rakhnā hai
ye kyā sitam hai ki sayyād ham asīroñ ko
rihā bhī karnā hai be-bāl-o-par bhī rakhnā hai
kise batā.eñ ki ġham us kī be-niyāzī kā
vo ġham hai jis se use be-ḳhabar bhī rakhnā hai
musāfiro abhī manzil ke haiñ paḌāv bahut
isī hisāb se zād-e-safar bhī rakhnā hai
ye uzr hai ki unheñ niiñd aane lagtī hai
bayān-e-qissa-e-ġham muḳhtasar bhī rakhnā hai
'vaqār' tum suḳhn-o-āgahī se guzre ho
tumhī ko pās-e-'vaqār'-e-hunar bhī rakhnā hai