bahut se zaḳhm jin ko mustaqil mehmān rakkhā hai
badan kī qaid meñ kuchh dard kā sāmān rakkhā hai
kabhī lagtā hai ki maiñ āsmāñ ko chhū ke aa.ī huuñ
kabhī lagtā hai raste meñ koī tūfān rakhā hai
har ik lamha gumāñ kī dastaras meñ kyā batā.eñ ham
kahāñ ummīd rakkhī hai kahāñ īmān rakkhā hai
tumhārī aañkh meñ Thahrā huā paanī batātā hai
mohabbat kī thī tum ne aur us kā maan rakkhā hai
mire aabā ke ghar ko bech kar mujh se vo kahtā hai
vahīñ kamra paḌā hai aur vahīñ dālān rakkhā hai
hamārī himmatoñ kī daad de kar lauT jā.egā
hamāre sāmne jis ġham ne siina taan rakkhā hai