sach hai ġham-e-firāq meñ ham ro nahīñ sake
vo bhī tamām raat magar so nahīñ sake
be-fā.eda hai chāhnā asnām se vafā
ye sañg-dil kisī ke kabhī ho nahīñ sake
patthar ke log haiñ jahāñ shīshe ke bām-o-dar
ham us zamīñ meñ dard-e-vafā bo nahīñ sake
siine meñ ek daaġh lagā aur umr-bhar
dhote rahe vo daaġh magar dho nahīñ sake
ādāb-e-parda-dārī-e-zabt-e-fuġhāñ na pūchh
tūfān dil meñ uThte rahe ro nahīñ sake
rañgīniyoñ ke ahd meñ ḳhushiyoñ ke daur meñ
chāhā ġhamoñ ko khonā magar kho nahīñ sake
tasḳhīr-e-māhtāb mukammal to ho ga.ī
dāman meñ us ke ek bhī pal so nahīñ sake
ayyārī-e-siyāsat-e-ahbāb dekhiye
chāhā kisī ke ho ke raheñ ho nahīñ sake