barsoñ ashkoñ se vuzū kā silsila karte rahe
ham namāz-e-zindagī yuuñ bhī adā karte rahe
ham barābar dostī kā haq adā karte rahe
aur vo rozāna ik fitna khaḌā karte rahe
ham bayāñ ro ro ke dil kā mudda.ā karte rahe
ahl-e-mahfil muskurā kar vāh-vā karte rahe
kyā batā.eñ zindagānī ishq kī kaise kaTī
vo jafā karte rahe aur ham vafā karte rahe
umr-bhar ahl-e-vatan ne baat tak mujh se na kī
log merī qabr par phir jamghaTā karte rahe
chāñd ke mānind mukhḌe kī ziyā-pāshī ke gird
apnī zulf-e-ambarīñ se vo ghaTā karte rahe
ik nazar tū ne na dekhā bismilān-e-zār ko
log terā zikr-e-chashm-e-surma-sā karte rahe
vo jinheñ aa.ī mayassar ibtidā-e-māl-o-zar
ham pe har lahza sitam kī intihā karte rahe
ahl-e-dānish dekheñ un kī sādgī bechārgī
jo vasīloñ ke bharose par ḳhatā karte rahe
rahravo ruk jaao socho is pahelī kā javāb
rahnumāoñ ke nishāne kyuuñ ḳhatā karte rahe
kyā sunā.eñ jāñ-ba-lab qaumoñ kī bīmārī kā haal
dard baḌhtā hī gayā juuñ juuñ davā karte rahe
ho na paayā jāñ-ba-lab lākhoñ ġharīboñ kā ilaaj
ahl-e-sarvat tandurustoñ kī davā karte rahe
ho ga.e koshish meñ apnī kaam vaale kāmyāb
aur nākāra muqaddar kā gilā karte rahe
maiñ to bahr-e-ġham ke tūfānoñ se Takrātā rahā
log kuchh sāhil pe baiThe tabsira karte rahe
man turā haajī bagoyam tū morā haajī bago
shā.irān-e-pesha-var ye mashġhala karte rahe
shar-pasandoñ kī ri.āyat meñ faqīhān-e-kirām
zisht ko ḳhuub aur ravā ko nāravā karte rahe
sarguzisht apnī to saarī ye hai ai rabb-e-rahīm
darguzar kartā rahā tū ham ḳhatā karte rahe
raat chashm-e-'rāz' pahroñ ashk barsātī rahī
khel ke shauqīn ronā kirkirā karte rahe