mehrbānī ko tirī āriz-e-tābāñ samjhe
ruuTh jaane ko ḳham-e-kākul-e-pechāñ samjhe
sub.h-e-ḳhandāñ ko ma.āl-e-shab-e-hijrāñ samjhe
shab ko tanvīr kā ik aks-e-pareshāñ samjhe
ziist āshuftagī-e-gor-e-ġharībāñ samjhe
maut ko silsila-e-umr-e-gurezāñ samjhe
shoḳh kirnoñ ko dil-e-sīna-figārāñ samjhe
kahkashāoñ ko hasīñ shahr-e-nigārāñ samjhe
haram-o-dair na jalva-gah-e-jānañ samjhe
kuchh na samjhe yahī ai gardish-e-daurāñ samjhe
kuchh samajh paa.e na ahbāb ke samjhāne se
vaqt ne pūchhā ki samjhe to kahāñ haañ samjhe
saaf dil saada mizāj aisī tabī.at paa.ī
ham to vaa.iz ko bhī ik banda-e-yazdāñ samjhe
jis ko kahte haiñ nasīm aaj vo hai bād-e-sumūm
aur kabhī fasl-e-ḳhizāñ ko bhī bahārāñ samjhe
phuuT kar bahne lage aañkh se naale shab-e-hijr
aur ham-sā.e use ne.amat-e-bārāñ samjhe
rañg laayā hai gulistāñ kī tamannāoñ kā ḳhuuñ
ham baḌī der meñ mafhūm-e-bahārāñ samjhe