har shai meñ numāyāñ hai jalva āñkhoñ se magar mastūr bhī hai
shah-e-rag se qarīñ hai husn-e-azal shahpar se nazar ke duur bhī hai
hai parda-andar-parda vo aur arz-o-samā kā nuur bhī hai
jab yaad karo nazdīk hai vo jab DhūñDo us ko duur bhī hai
mahdūd bhī lā-mahdūd bhī hai āzād bhī hai majbūr bhī hai
faizān-e-nazar se har zarra hoshiyār bhī hai maḳhmūr bhī hai
hai zarra zarra bhī sahrā hai qatra qatra bhī dariyā
samjho na to aiman hai patthar patthar ko jo samjho tuur bhī hai
phir jabr-o-sitam ke saa.e meñ kuchh log ḳhudā ban baiThe haiñ
muusā hī nahīñ haiñ ab varna fir.aun bhī hai aur tuur bhī hai
jaise ġhunche khil uThte haiñ tar ho kar ashk-e-shabnam se
dil shab-bhar hijr meñ ro ro kar har sub.h yūñhī masrūr bhī hai
kamzor hī se taqsīreñ haiñ majbūrī par ta.azīreñ haiñ
ye Dagar Dagar mash.hūr bhī hai ye nagar nagar dastūr bhī hai