mehr-o-māh-o-anjum kā kuchh nishāñ nahīñ miltā
uḌ rahā huuñ barsoñ se āsmāñ nahīñ miltā
raushnī kā imkāñ bhī ab yahāñ nahīñ miltā
ikkā-dukkā jugnū bhī zau-fishāñ nahīñ miltā
tan pe saaya karne ko sā.ebāñ to miltā hai
ruuh ke sulāne ko āshiyāñ nahīñ miltā
dil kī raushnī le kar dilbar-e-azal ko maiñ
DhūñDhtā huuñ muddat se aur nishāñ nahīñ miltā
mere dil kī dhaḌkan hī garche us kā maskan hai
DhūñDhtā huuñ jab dil meñ kuchh nishāñ nahīñ miltā
aarzū meñ phūloñ kī phir rahā huuñ sahrā meñ
ret ke musāfir ko gulsitāñ nahīñ miltā
chūr-chūr rahtā hai har dam aa.ina dil kā
bevafā zamāne meñ mehrbāñ nahīñ miltā
miltā-jultā rahtā hai nā-murād duniyā se
apne jāñ-nisāroñ se bad-gumāñ nahīñ miltā
us kā milnā-julnā hai ġhāyat-o-ġharaz le kar
banda-e-ġharaz hai vo rā.egāñ nahīñ miltā
bastiyoñ ke dāman meñ Dher haiñ makānoñ ke
muztarib tamannā ko lā-makāñ nahīñ miltā
bastiyoñ ke parbat haiñ qāfile haiñ logoñ ke
aadmī koī in meñ jān-e-jāñ nahīñ miltā
aadmī kī kasrat se aadmī pareshāñ hai
aadmī kā is par bhī kuchh nishāñ nahīñ miltā
jis ke paas yakjā hoñ dīn-o-dānish-o-daulat
aise mard-e-kāmil kā āstāñ nahīñ miltā
dafn ho ga.e kitne aish kī tamannā meñ
aish agar milā bhī to jāvedāñ nahīñ miltā
sach hai dasht-e-imkāñ hai ek dhuñdlā naqsh-e-pā
naqsh jis se rahrav kā kuchh nishāñ nahīñ miltā
ilm-o-fan ke parvāno ye bhī kyā qayāmat hai
'rāz' ko yahāñ koī rāz-dāñ nahīñ miltā