Khalilur Rahman Raz

har jagah bandish-e-adab ki parwa na karen

Khalilur Rahman Raz

har jagah bandish-e-ādāb kī parvā na kareñ
mahram-e-rāz se behtar hai ki pardā na kareñ
ishq kī kohna rivāyāt ko rusvā na kareñ
baat to ye hai sar-e-dār bhī lab vā na kareñ
maut bhī sāmne aa jaa.e to parvā na kareñ
jāñ-ba-kaf dil ko misāl-e-dil-e-parvāna kareñ
dil pe hirs-o-hasd-e-bādiya-paimā na kareñ
is se behtar hai ki shaġhl-e-mai-o-paimāna kareñ
pursish-e-ġham se mire ġham ko do-bālā na kareñ
ye karam aaj se ā.inda dobārā na kareñ
uThne lagtā hai tumheñ dekh ke mauhūm sā dard
aaj se aap mire sāmne aayā na kareñ
dard uThtā hai agar chāragaroñ ko DhūñDeñ
dard-e-ulfat hai to phir fikr-e-mudāvā na kareñ
vaqt ke haath meñ hai khoTe khare kī tasdīq
aap achchhe haiñ to achchhā.ī kā da.avā na kareñ
lag na jaa.e ruḳh-e-gul-rañg ko apnī hī nazar
apnī sūrat kabhī ā.īne meñ dekhā na kareñ
chheḌ detī hai ye āvāz-e-hazīñ ruuh ke taar
dam-e-ruḳhsat lab-e-gulrez ko goyā na kareñ
dil-o-īmāñ to nahīñ haañ magar ai ahl-e-sitam
jaan hāzir hai jo manzūr ye nazrāna kareñ
rāz-e-sar-basta hai dil aur ye behtar hai ki 'rāz'
parda ham chehra-e-hastī se uThāyā na kareñ
Top Urdushayar.com