dilbaroñ ke raaz kā mahram huā
dard se dil misl-e-jām-e-jam huā
rāt-din aañsū bahe mātam huā
dard furqat kā na lekin kam huā
rah gayā huuñ ban ke ik tasvīr-e-ġham
ġham ke hāthoñ haa.e kyā aalam huā
zaḳhm khaa.e ek muddat ho ga.ī
soz-e-dil lekin nahīñ maddham huā
dard-e-ulfat kī hasīñ tashkīl meñ
imtizāj sho.ala-o-shabnam huā
ek uThnā thā nigāh-e-nāz kā
donoñ aalam kā ajab aalam huā
pur-ḳhatar pur-pech hai rāh-e-hayāt
chal sakā jitnā bhī jis meñ dam huā
phir sabā meñ hai na.ī dīvāngī
kyā mizāj-e-zulf phir barham huā
vaqt ne paiham lagā.e dil pe zaḳhm
vaqt ḳhud hī un kā phir marham huā
aa.ī ik allāhu-akbar kī sadā
sar mirā pesh-e-sanam jab ḳham huā
nā-rasā jitne rahe naale mire
is qadar īmāñ mirā mohkam huā
raaz se ahl-e-havas haiñ munharif
ye bhī goyā sajda-e-ādam huā