Khalilur Rahman Raz

waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai

Khalilur Rahman Raz

vaqt ne dil kī tabī.at meñ vafā rakkhī hai
kulfat-e-āgahī phir us kī sazā rakhī hai
dil ho pazhmurda to hai ḳhanda-e-gul be-ma.anī
har ḳhushī aur ġhamī dil ne chhupā rakkhī hai
chaak kartī hai sabā sub.h ko ġhunchoñ ke jigar
ye kahānī mujhe shabnam ne sunā rakkhī hai
ġhunche ġhunche meñ hai poshīda salīb-e-ġham-e-dost
kis ne phūloñ meñ ye qātil kī adā rakkhī hai
kis ke chhup jaane se hairān huī hai duniyā
kis ke jalvoñ ne ye dīvānī banā rakkhī hai
zindagī ho ga.ī kis tarah tū itnī sastī
kis liye tū ne bharī duniyā satā rakkhī hai
ilm se jis ke mujhe mil sake manzil kā nishāñ
vaqt ne mujh se vahī baat chhupā rakkhī hai
ham ne har moḌ pe chāhat ke jalā.e haiñ charāġh
ham ne har gaam pe ulfat kī binā rakkhī hai
tafraqoñ kā nahīñ aapas meñ kahīñ koī javāz
sab ne auhām kī dīvār uThā rakkhī hai
dard-e-hijrāñ ke tasalsul se na ghabrā dil-e-zār
ishq ne dard ke andar hī davā rakkhī hai
vaqt le aayā hai ḳhud had meñ use der saver
jis ne bhī qad se sivā apnī anā rakkhī hai
us sitamgar kā meñ ai 'rāz' karūñ kyā shikva
har balā mere liye jis ne ravā rakkhī hai
Top Urdushayar.com