Khalilur Rahman Raz

ruh-e-zaman makan mile raaz-e-ayan nihan mile

Khalilur Rahman Raz

rūh-e-zamāñ makāñ mile rāz-e-ayāñ nihāñ mile
kab se huuñ garm-e-justujū manzil-e-kun-fakāñ mile
nādira-e-zamāñ mile nābiġha-e-jahāñ mile
jis ko maiñ DhūñDhtā huuñ vo nāzish-e-mah-vashāñ mile
nāla-e-arġhavāñ mile sho.ala-e-arġhavāñ mile
sā.iqa-e-tapāñ mile jalva-e-be-amāñ mile
kākul-e-kahkashāñ khule āriz-e-lā-makāñ mile
dil-bar-e-hast-o-būd kā kaash kahīñ nishāñ mile
yuuñ to hameñ hazār-hā jalve jahāñ-tahāñ mile
jis kī magar talāsh hai dekhiye kab kahāñ mile
DhūñD rahe haiñ aaj tak jin ko vahī kahāñ mile
varna rah-e-hayāt meñ saiñkaḌoñ kārvāñ mile
shoa.la-fishāñ zamīn par saiñkaḌoñ āsmāñ mile
dil ko jahāñ sakūñ mile kaash vo āstāñ mile
merī nazar meñ kam nahīñ vo bhī kisī se ḳhush-nasīb
jis ko ġham-e-firāq kī daulat-e-be-karāñ mile
vaj.h-e-nashāt-e-shauq hai kitnā hasīñ vo ek ġham
yuuñ to yahāñ hazār-hā roz-e-ġham nihāñ mile
soch rahe haiñ aaj ham apnī bhī qadr kyā hai kam
vo hameñ gar na mil sake ham bhī unheñ kahāñ mile
un ke liye gul-o-bahār aur hameñ ḳhizāñ-o-ḳhār
un ko bhī gulsitāñ mile ham ko bhī gulsitāñ mile
soz-o-gudāz-o-dard-o-ġham hasrat-o-dil-shikastagī
ziist meñ kitne qīmtī ham ko ye armuġhāñ mile
qarya-ba-qarya shahr shahr TuuT rahā hai aaj qahr
chīḳh uThī hai rūh-e-dahr kaash kahīñ amaañ mile
sham-e-junūñ liye hue DhūñD rahā hai shahr shahr
ahd-e-ḳhirad meñ 'rāz' ko koī to rāzdāñ mile
Top Urdushayar.com