gar dil meñ tabassum kā ik tiir utar jaa.e
nau-ḳhāsta ġhunche kī taqdīr sañvar jaa.e
jab jab koī tūfāñ sā is dil se guzar jaa.e
vo chehra-e-rañgīñ bhī kuchh aur nikhar jaa.e
jab dil pe mohabbat kā tūfān guzar jaa.e
shabnam se sharar Tapke sho.aloñ se asar jaa.e
dīvāna tire ruḳh kā aur maut se Dar jaa.e
jis dil meñ sadāqat ho mumkin nahīñ mar jaa.e
ye ḳhūn-e-mohabbat hai ḳhanjar na Thahar jaa.e
ik mahshar-e-betābī rag rag meñ utar jaa.e
ye rāh-e-mohabbat hai jo is se guzar jaa.e
parvāh nahīñ us ko zar jaa.e ki sar jaa.e
ulfat kī zafar-mandī us roz maiñ samjhūñgā
jab aah mirī tere siine meñ utar jaa.e
is dil pe guzartī hai kaifiyat-e-rañgā-rañg
tūfāñ sā umaD aa.e dariyā sā utar jaa.e
hai ḳhuub magar phir bhī vo paikar-e-rañg-o-bū
kuchh aur nikhar jaa.e kuchh aur sañvar jaa.e
kyā turfa-tamāshā hai faizān-e-mohabbat se
jannat se bashar nikle jannat meñ bashar jaa.e