Khalilur Rahman Raz

use kaamyabi ki hajat nahin

Khalilur Rahman Raz

use kāmyābī kī hājat nahīñ
mohabbat hai koī tijārat nahīñ
ḳhatāvār shukr-o-shikāyat nahīñ
use baat karne kī aadat nahīñ
maiñ rahtā huuñ us ke ḳhayāloñ meñ gum
mujhe saañs lene kī fursat nahīñ
vo hai rañg ḳhushbū dhanak chāñdnī
use zeb-o-zīnat kī hājat nahīñ
sitamgar vo mujh par ho jab mehrbāñ
mubārak koī aisī saa.at nahīñ
uThā.ūñ maiñ naaz us gul-andām ke
mire vāste ye sa.ādat nahīñ
ḳhushī ke ta.āqub meñ hai ġham yahāñ
ye duniyā jahannum hai jannat nahīñ
qarīn-e-haqīqat hai ye qaul bhī
zamāne meñ ab kuchh sharāfat nahīñ
maiñ is ko mohabbat kā tohfa kahūñ
agar tum ko mujh se shikāyat nahīñ
maiñ kartā huuñ jin sāthiyoñ se gurez
mujhe un se koī shikāyat nahīñ
mujhe hāsidoñ se hai shikva magar
ḳhudā vāste kī adāvat nahīñ
tirī baat sachchī hai vaa.iz magar
bayāñ meñ tire kuchh latāfat nahīñ
jamā.at hai husn-e-ibādat magar
jo dil se na ho vo ibādat nahīñ
hakīmāna ulfat se ārāsta
sharī.at se haT kar tarīqat nahīñ
jahāñ meñ vahī ab hai be-iḳhtiyār
jise jhuuT bakne kī aadat nahīñ
mohabbat meñ hai raaz rāz-e-hayāt
mohabbat se baḌh kar ibādat nahīñ
Top Urdushayar.com