unheñ savāl hī lagtā hai merā ronā bhī
ajab sazā hai jahāñ meñ ġharīb honā bhī
ye raat raat bhī hai oḌhnā-bichhaunā bhī
is ek raat meñ hai jāgnā bhī sonā bhī
vo habs-e-dam hai zamīñ āsmāñ kī vus.at meñ
ki aisā tañg na hogā lahad kā konā bhī
ajiib shahr hai ghar bhī haiñ rāstoñ kī tarah
kise nasīb hai rātoñ ko chhup ke ronā bhī
khule meñ so.eñge phir motiyā ke phūloñ se
sajāo zulf basā lo zarā bichhaunā bhī
najāt-e-rūh bhī arzāñ nushūr-e-dil kī tarah
huā hai sahl zamīroñ ke daaġh dhonā bhī
'azīz' kaisī ye saudāgaroñ kī bastī hai
garāñ hai dil se yahāñ kaaTh kā khilaunā bhī