Aziz Qaisi

har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai

Aziz Qaisi

Hyderabad, Telangana, India

1931-1992
har aañkh lahū sāgar hai miyāñ har dil patthar sannāTā hai
ye gañgā kis ne paaTī hai ye parbat kis ne kaaTā hai
chāhat nafrat duniyā uqbā ye ḳhair ḳharābī dard davā
har dhandā jī kā jokhim hai har saudā jaan kā ghāTā hai
kyā jog samādhī-o-rasdhī kyā kashf-o-karāmat jazb-o-junūñ
sab aag havā paanī miTTī sab daal namak aur aaTā hai
ye raas rañg ye mel milan ik haath meñ chāñd ik meñ sūraj
ik raat kā mauj maza saarā ik din kā sair-sapāTā hai
ghaT ghaaT añdherā hai kaise bhāñdhoge kahāñ nayyā apnī
āvāz kise doge 'qaisī' chau-dhām yahāñ sannāTā hai
Top Urdushayar.com