tamīz apne meñ ġhair meñ kyā tumheñ jo apnā na kar sake ham
har ek mahfil huī gavārā tumhārī mahfil se kyā uThe ham
sahar pashemān-e-ārzū haiñ charāġh-e-shab the so jal bujhe ham
ḳhirāj ashkoñ kā ḳhūn-e-dil se jo ham ko lenā thā le chuke ham
na sham.a kāñpī na giit Duube uThe jo ham un kī anjuman se
chalo bas achchhā huā ki aise kahāñ ke mahfil-faroz the ham
na ham syāhī na ham ujālā charāġh haiñ ashk-e-ārzū ke
ki ham sar-dasht-e-be-karāñ haiñ sulagte rahte haiñ shaam se ham
nazar uThāo to jhuum jaa.eñ nazar jhukāo to Dagmagā.eñ
tumhārī nazroñ se sīkhte haiñ tarīq maut-o-hayāt ke ham
kareñ jo shikva zabāñ kahāñ hai zabāñ meñ tāb-e-fuġhāñ kahāñ hai
kahāñ kā pardes kaisī ġhurbat vatan kī galiyoñ meñ luT ga.e ham
hamārī rūdād muḳhtasar hai vafā kahāñ kī jafā kahāñ kī
ba-rañg-e-gul muskurā diye vo ba-tarz-e-shabnam bikhar ga.e ham
'azīz-qaisī' kahāñ rahe to ki raat us but kī anjuman meñ
hujūm-e-naġhma meñ zikr sun kar kisī divāne kā ro paḌe ham