uljhāo kā maza bhī tirī baat hī meñ thā
terā javāb tire savālāt hī meñ thā
saaya kisī makīñ kā bhī jis par na paḌ sakā
vo ghar bhī shahr-e-dil ke mazāfāt hī meñ thā
ilzām kyā hai ye bhī na jaanā tamām umr
mulzim tamām umr havālāt hī meñ thā
yāroñ ko inhirāf kā jis par rahā ġhurūr
vo rāsta bhī dasht-e-rivāyāt hī meñ thā
ab to faqat badan kī muravvat hai darmiyāñ
thā rabt-e-jān-o-dil to shurūāt hī meñ thā
mujh ko jo qatl kar ke manātā rahā hai jashn
vo bad-nihād shaḳhs mirī zaat hī meñ thā