Aziz Qaisi

pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi

Aziz Qaisi

Hyderabad, Telangana, India

1931-1992
pas-e-tark-e-ishq bhī umr-bhar taraf-e-mizha pe tarī rahī
mirī kisht-e-jāñ bhī ajiib hai ki ḳhizāñ ke saath harī rahī
ka.ī baar daur-e-kasād meñ gire mehr-o-māh ke daam bhī
magar ek qīmat-e-jins-e-dil jo kharī rahī to kharī rahī
na vo rasm-e-pardagī-e-vafā na chhupā chhupā sā payām hai
na shamīm-o-gul se kalām hai na sabā kī nāma-barī rahī
maiñ tahī-nasīb sahī magar mirī chashm-e-nam ko duā to de
tirī maañg ai shab-e-zindagī sadā motiyoñ se bharī rahī
sar-e-dasht-e-tār guzār leñ kisī taur raat ye umr kī
na lagegī aañkh agar yuuñ hī hameñ fikr-e-shab-basrī rahī
Top Urdushayar.com