āh-e-be-asar niklī naala nā-rasā niklā
ik ḳhudā pe takiya thā vo bhī aap kā niklā
kaash vo marīz-e-ġham ye bhī dekhtā aalam
chāragar ye kyā guzrī dard jab davā niklā
ahl-e-ḳhair Duube the nekiyoñ kī mastī meñ
jo ḳharāb-e-sahbā thā bas vo pārsā niklā
ḳhizr jaan kar ham ne jis se raah pūchhī thī
aa ke biich jañgal meñ kyā batā.eñ kyā niklā
gir gayā añdhere meñ tere mehr kā sūraj
dard ke samundar se chāñd yaad kā niklā
ishq kyā havas kyā hai bandish-e-nafas kyā hai
sab samajh meñ aayā hai tū jo bevafā niklā
jis ne dī sadā tum ko sham.a ban ke zulmat meñ
rah-gazīdgāñ dekho kis kā naqsh-e-pā niklā
ik navā-e-rafta kī bāzgasht thī 'qaisī'
dil jise samajhte the dasht-e-be-sadā niklā