Aziz Qaisi

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

Aziz Qaisi

Hyderabad, Telangana, India

1931-1992
dil-ḳhastagāñ meñ dard kā aazar koī to aa.e
patthar se mere ḳhvāb kā paikar koī to aa.e
dariyā bhī ho to kaise Dubo deñ zamīn ko
palkoñ ke paar ġham kā samundar koī to aa.e
chaukhaT se haal pūchhā to bāzār se sunā
ik din ġharīb-ḳhāne ke andar koī to aa.e
jo zaḳhm dostoñ ne diye haiñ vo chhup to jaa.eñ
par dushmanoñ kī samt se patthar koī to aa.e
haiñ nauhagar hazār sanā-ḳhvāñ hazār haiñ
mere sivā.e tiir kī zad par koī to aa.e
lākhoñ jab aa ke jā chuke kyā mil gayā miyāñ
ab bhī ye sochte ho payambar koī to aa.e
shikva durust 'qaisī' ke paiham sukūt kā
lekin is anjuman meñ suḳhnavar koī to aa.e
Top Urdushayar.com