apnoñ ke karam se yā qazā se
mar jaa.eñ to aap kī balā se
girtī rahī roz roz shabnam
marte rahe roz roz pyāse
ai rah-zadagāñ kahīñ to pahuñche
muñh moḌ ga.e jo rahnumā se
phir niiñd uḌā ke jā rahe haiñ
tāroñ ke ye qāfile nidā se
muḌ muḌ ke vo dekhnā kisī kā
nazroñ meñ vo duur ke dilāse
palkoñ kī zarā zarā sī larzish
paiġhām tire zarā zarā se
daatā haiñ sabhī nazar ke aage
kyā māñgeñ chhupe hue ḳhudā se
kyā haath uThā.iye duā ko
ham haath uThā chuke duā se