tumhāre dard kī daulat uThā.e jaate haiñ
chale haiñ aise ki jaise parā.e jaate haiñ
sunā hai jab se anal-haq kā mājrā yaaro
atā-e-ishq ko fitna batā.e jaate haiñ
tumhāre hijr ke malbe meñ dab gayā koī
tumhāre rog ye bāteñ banā.e jaate haiñ
jafā ke dosh pe jalte hue charāġh mujhe
sitam kī nok pe jiinā sikhā.e jaate haiñ
barā.e naam jo tum se koī ta.alluq thā
usī ke bojh se kañdhe jhukā.e jaate haiñ
purāne zaḳhm jo kal āgahī kā hāsil the
mire shu.ūr kī miTTī meñ paa.e jaate haiñ
unhī kī aañkh kā rahtā hai tazkira aksar
unhī kī zulf ke qisse sunā.e jaate haiñ
hamāre beach koī tīsrā na aa.egā
ye lafz vo haiñ jo bas bhuul jaa.e jaate haiñ
vo ek shaḳhs asāsa hai qīmtī merā
usī ke naam pe duniyā luTā.e jaate haiñ
kisī kā pyaar tire ġham kured detā hai
tumhāre baad bahut āzmā.e jaate haiñ
ḳhudā 'ḳhalīl' ke sheroñ kī aabrū rakkhe
qalam kī nok pe aañsū bahā.e jaate haiñ