apnī qismat kī lakīroñ ko ishāra na milā
koī jugnū koī motī koī taarā na milā
jin kā bachpan mirī bāñhoñ meñ hī guzrā thā kabhī
is buḌhāpe meñ mujhe un kā sahārā na milā
ġham ke maare to hazāroñ hī zamāne meñ mile
mere jaisā koī taqdīr kā maarā na milā
ghuum aa.e haiñ jahāñ saarā magar aaj talak
aap ke jaisā hañsī koī dobāra na milā
apnī palkoñ ko bichhāyā tirī rāhoñ meñ magar
terī aamad kā koī dil ko ishārā na milā
mujh ko duniyā ne to nafrat ke sivā kuchh na diyā
mar hī jā.ūñgā agar pyaar tumhārā na milā
jo safīne ko kināre se lagā detā mire
haa.e qismat mujhe aisā koī dhārā na milā
hai ġhamoñ kā vo bhañvar jis meñ phañsā huuñ ai 'mukesh'
zindagī ko mirī ḳhushiyoñ kā kinārā na milā