Mukesh Indori

kise KHabar thi labon se hansi bhi chhinega

Mukesh Indori

Mandsaur, Madhya Pradesh, India

1980
kise ḳhabar thī laboñ se hañsī bhī chhīnegā
zamāna ham se hamārī ḳhushī bhī chhīnegā
sahārā kaun ġharīboñ ko dost detā hai
ġharīb kī to koī jhoñpaḌī bhī chhīnegā
usī ke dam se hai qaa.em nizām sāñsoñ kā
ye zindagī hai usī kī kabhī bhī chhīnegā
ye baat sun ke ta.ajjub sā ho rahā hai hameñ
kabhī kisī kī koī zindagī bhī chhīnegā
lagā de shauq se koī qalam pe pābandī
hai kis meñ dam jo mirī shā.irī bhī chhīnegā
hai sādgī to azal se hī merī fitrat meñ
vo kaun hai jo mirī sādgī bhī chhīnegā
chaman meñ sho.ala jo nafrat kā uTh rahā hai yahāñ
hañsī guloñ kī vahī tāzgī bhī chhīnegā
añdhere jis ko muqaddar ne de diye haiñ 'mukesh'
vo sochtā hai mirī raushnī bhī chhīnegā
Top Urdushayar.com