lazzat-e-dard-e-jigar dost baḌhā detā hai
zaḳhm ristā hai to kuchh aur maza detā hai
mere zaḳhmoñ pe namak roz chhiḌak detā hai
jaane kis jurm kī vo mujh ko sazā detā hai
talḳh bātoñ se mire dil ko dukhātā hai roz
merā ho ke mire zaḳhmoñ ko havā detā hai
rañg beTā bhī badal letā hai girgiT kī tarah
vaqt paḌne pe hamesha vo daġhā detā hai
jab bhī be-parda tasavvur meñ chalā aatā hai
merī nazroñ meñ koī ḳhvāb sajā detā hai
aag siine meñ mohabbat kī sulag jaatī hai
vo nigāhoñ se mujhe jab bhī pilā detā hai
Duub jaatā hai sar-e-shām vo sūraj to magar
ḳhvāhisheñ raat ke siine meñ dabā detā hai
tere aane kī tamannā meñ hī rahtā hai 'mukesh'
terī rāhoñ meñ ye palkoñ ko bichhā detā hai