banda-parvar aap kī to zindagī ābād hai
aap ko is se ġharaz kyā gar koī barbād hai
hai ijāzat aap to mashk-e-sitam farmā.iye
ham ġharīboñ kā kaleja bā-ḳhudā faulād hai
apnā apnā hai muqaddar apnā apnā hai nasīb
hai koī ābād duniyā meñ koī barbād hai
ḳhuun insāñ kā bahāte haiñ jo paanī kī tarah
aise logoñ kī badaulat gulistāñ barbād hai
kis qadar mushkil hai khul kar saañs lenā bhī yahāñ
sirf kahne ke liye apnā vatan āzād hai
naujavāñ hāthoñ meñ hai is mulk kī taqdīr ab
naujavāñ hāthoñ ke dam se mulk ye ābād hai
titliyoñ ke pīchhe pīchhe dauḌnā vo har taraf
aaj tak ham ko laḌakpan kā zamāna yaad hai
kis qadar rañgī zamāna thā vo bachpan kā 'mukesh'
kuchh tumheñ bhī yaad hogā kuchh mujhe bhī yaad hai