ma.ānī lafzoñ ke piirī meñ kuchh shabāb meñ kuchh
aur us ke baare meñ likkhā nahīñ kitāb meñ kuchh
pahuñch ke dekhā to māñge kī raushnī ke sivā
falak ke tāroñ meñ kuchh hai na māhtāb meñ kuchh
har ek ghūñT meñ yaksāñ nahīñ thī talḳhi-e-mai
ki ghol dete haiñ hālāt bhī sharāb meñ kuchh
ka.ī gunāhoñ kā indirāj hī nahīñ miltā
kisī se bhuul huī hai mire hisāb meñ kuchh
hai terā aks ki mere ġhamoñ kā saayā hai
nazar to aatā hai paimāna-e-sharāb meñ kuchh